Friday, March 29, 2013

miti ka khilona

jaise hi koi khilona toot jata hai
yeh baazaar khud ko saja leta hai

hai nahin fir kahin milta woh dil par
aadmi har dukaan ki khaak leta hai

jo aajaaye dil kis aur khilone pe to
woh bichade hue sab bhula deta hai

kabse dhoond raha hoon wohi khilona
har dukaandaar mujhe bhaga deta hai

uski yaad kaisi hai ki nahin jaati
woh yaad aake duniya bhula deta hai

kyon na sakht jaan meri kya janoon
dil to mitti mein dil laga deta hai

hote hain kamzoor mitti ke khilone
koi miti tapa ke khilona banata hai

padi hai miti bahut yahan par lekin
koi nahin jo wohi surat banata hai

khada hai aaj bhi bazaar mein Kapil
aisa koi nahin jo sauda la sakta hai

aye zindagi tujhse

aye zindagi tujhse hum hairaan hain
apane hone se kuch pareeshaan hain

hua hai tera asar hum par aaj aisa
ki jaane hosh kahan, hum kahan hain

ye suraat mahtaab, kya bayaan karen
ek jhalak ko to sabhi be_qaraar hain

hua hai kuch to tujhse is shahar ko
kyon yeh bastiyaan aaj veeraan hain

koi shaks bhi yahan milke nahin milta
tere raaste pe khade boo~t hazar hain

bheed itani ki bata tu kaise pukaroon
shor mein sabhi aawazein bezaar hain

milti hain nazarein bas ek lamha hi
aur us mein kehni baatein hazaar hain

tu kyon jhijhakta hai aaj dekh mujhko
tumhari ankhoon mein bayaan sab hain

tu bata ab hai yeh tera inkaar kaisa
jab tere-mere hi charche hazaar hain

bata hai tu soochta kyon is jahan ko
isse tera koi bhi khayal kahan hain

hai yahan par bas tamashai duniya
tere siwa chaara_saaz aur khahan hain

mujh mein bas bachi hai yeh aas teri
isse jyaada jahan mein ahd kahan hain

woh jo pooch tha hai humne aaj Kapil
bata us baat ke jawwaab kahan hain

Thursday, March 28, 2013

phiki holi

kyon saawan ki woh mahek na aayi
us bheegi miti ki khushboo na aayi

na garja baadal na ritu ki angadai
na hi sardi ki woh baarish thi aayi

na bagh basse, na koi phool khile
na hi kissi koyal ki koi kook aayi

dher hai reet aur meeloon ke veerane
is saans mein bhi bas wohi ret aayi

sukhe hain darkht sukhi hai dharti
meri pyaas bujhane ek phuhaar na aayi

taras gaya main mausam dar mausam
par saath nibhane woh bhi na aayi

kuch rang bhi rahe yahan adhure se
ab ki baar holi bhi bahut phiki aayi

ab ki baar holi bhi bahut phiki aayi

Sunday, March 24, 2013

wo dur hokar

wo dur hokar mere khwaboon mein milte kyon hain
sholay bujh kar bhi barsoon sulagte kyon hain

aawaaz aati hai shoolon se ik boond ke girne pe
par ashna-e-dil chup-chup ke roote kyon hain

ch~nd boond tapkayii sawan mein aasmaan ne bhi
par ankhein, milte-bichadte barasti kyon hain

aaj sharmaa gaya hai woh baadal bhi dekh_ke unko
ki yadein apne lahoo se laal si saani kyon hain

nikal ayaa hai ye aftaab phir baadaloon se yun
par woh aaj din mein chaand-sa chupa kyon hain

dil mein zinda hai yeh arzoo unki, umeed unki
aur aaj woh waada kar ke bhi yun goom kyon hain

meri kismat mein to nahin likhi thi ruswai kapil
phir aaj biraah ki itani yeh meharbaani kyon hain

Saturday, March 16, 2013

raah dekhte-dekhte

raah dekhte-dekhte yeh raat kat gayi
teri umeed mein yeh zindagi guzar gayi

thi aas bas us indradhanush ki apnii
aur har barish ke saath woh dhulti gayi

is barsaat ka aalam bhi ajeeb sa hai
harek pe baras mujhe tarasta chod gayi

bahut tarsa hoon main boond ke liye
jaane kyon fir hawa badal saath le gayi

pakadoon kaise is hawa ko, badal ko
jab haath se yeh miti bhi fisalti gayi

khada hoon aaj tanha kuch is tarah
teri umeed bheed mein akela chod gayi

hain logg yahan har taraf, har jagah
par phir bhi us roshni ki chaah reh gayi

kyon chaaha tha yeh suraj kya janoon
iski dhoop to saath meri parchai le gayi

ab kaun bataye mujhe mere ghar ka pata
Kapil jab parchayi hi shaksiyat le gayi

Friday, March 15, 2013

aaj phir koi nayi shikayat

aaj phir koi nayi shikayat toh kar mujhse
yun hi bewajah tu aakar phir jhagad mujhse

dekh hai wohi ulti juraab, woh bikhare baal
kuch aur na sahi, is kameez pe ulajh mujhse

hui hai aaj phir se der kuch ghar aane mein
aaj issi sabab par tu kuch to ruthh mujhse

dekh aaya hoon beparwah ghar ke aangan se
mere in sane kadmoon ko saaf to kara mujhse

teri adaat bhi kuch ajeeb hi hai ki Kapil
jab tu nahin hota, nahin raha jata mujhse

aaj phir koi nayi shikayat to kar mujhse
yun hi bewajah tu aakar phir jhagad mujhse