Friday, March 29, 2013

aye zindagi tujhse

aye zindagi tujhse hum hairaan hain
apane hone se kuch pareeshaan hain

hua hai tera asar hum par aaj aisa
ki jaane hosh kahan, hum kahan hain

ye suraat mahtaab, kya bayaan karen
ek jhalak ko to sabhi be_qaraar hain

hua hai kuch to tujhse is shahar ko
kyon yeh bastiyaan aaj veeraan hain

koi shaks bhi yahan milke nahin milta
tere raaste pe khade boo~t hazar hain

bheed itani ki bata tu kaise pukaroon
shor mein sabhi aawazein bezaar hain

milti hain nazarein bas ek lamha hi
aur us mein kehni baatein hazaar hain

tu kyon jhijhakta hai aaj dekh mujhko
tumhari ankhoon mein bayaan sab hain

tu bata ab hai yeh tera inkaar kaisa
jab tere-mere hi charche hazaar hain

bata hai tu soochta kyon is jahan ko
isse tera koi bhi khayal kahan hain

hai yahan par bas tamashai duniya
tere siwa chaara_saaz aur khahan hain

mujh mein bas bachi hai yeh aas teri
isse jyaada jahan mein ahd kahan hain

woh jo pooch tha hai humne aaj Kapil
bata us baat ke jawwaab kahan hain

No comments:

Post a Comment