Saturday, March 16, 2013

raah dekhte-dekhte

raah dekhte-dekhte yeh raat kat gayi
teri umeed mein yeh zindagi guzar gayi

thi aas bas us indradhanush ki apnii
aur har barish ke saath woh dhulti gayi

is barsaat ka aalam bhi ajeeb sa hai
harek pe baras mujhe tarasta chod gayi

bahut tarsa hoon main boond ke liye
jaane kyon fir hawa badal saath le gayi

pakadoon kaise is hawa ko, badal ko
jab haath se yeh miti bhi fisalti gayi

khada hoon aaj tanha kuch is tarah
teri umeed bheed mein akela chod gayi

hain logg yahan har taraf, har jagah
par phir bhi us roshni ki chaah reh gayi

kyon chaaha tha yeh suraj kya janoon
iski dhoop to saath meri parchai le gayi

ab kaun bataye mujhe mere ghar ka pata
Kapil jab parchayi hi shaksiyat le gayi

No comments:

Post a Comment