Thursday, August 30, 2012

sarre bazaar mein

sarre bazaar mein main khud ko dhoondta hoon
jo mile us se apne ghar ka rasta poochta hoon
chand tamashaiyoon ke liye main tamasha hoon
aur jahan ke liye ek aur khatakta aina hoon

mere is hone se aaj kisi ko yahan kya hasil
main kuch bhi nahin, ek gum naam zarra hoon
chand sansoon ki hi baachi daulat mere paas
aur usi daulat pe basar karta baashinda hoon

kyon ruk kar pooche mujhse zamaana haal mera
main to kissi shakh se tuta hua ek pata hoon
udd raha hoon main aaj tak jhonkoon ki badulat
wagarna main to dhool mein lipta ek fepa hoon

na likh mujh par aye zamaana tu dastaan apni
jo bheg kar doob gaya main wohi kagaz hoon
Kapil agar tu nikaal paye mujhe to bhi kya ho
garq ho samanadar mein khatam hua dariya hoon

Tuesday, August 28, 2012

wada kar ke tum na aaye

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

woh birah ki bela ki thi karni
meri tumse nahin hui koi milni
aaj tu daras to dikha de mujhko
tere bin aur zindagi na Katani

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

abhi barsoon ke kisse hain baaki
tere bina to hosh hi nahin sathi
tu aa bhi jaa ab aur derr na kar
ki yeh judai ab aur nahin saheni

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

hain kuch yaadein aaj bhi sanjoyi
tum kya jaano kis mala mein piroyi
chun chun ke sab sahej sambhali
tu aaya aur woh sab hui bemaani

wada kar ke tum na aaye milane saari reain
dil baati jali inteezar mein saari reain

Saturday, August 25, 2012

kya aisi zindagi hoti hai?

labhoon se hasti hai
aankhoon se roti hai
yun palalein jhuka ke
mujh se sharmati hai
in khamoshiyoon mein
yun hi gunjaati hai
awaazoon ke darmiyan
ye khamosh rehti hai
ek kadam pe milti hai
ek pe hi bichadti hai
bewajah yun rula kar
khudi to hansaati hai
jitana bhi dur jaaon
ye aur paas bulati hai
aur jab kho jata hoon
yeh chod chali jati hai

kya aisi zindagi hoti hai?

Wednesday, August 22, 2012

aaj dekhta hoon sahil pe

aaj dekhta hoon sahil pe, yakin hota hai
jitana qareeb aao woh utna dur hota hai

koshish kam nahin hoti samandar ki magar
har ek lahar ka anjaam to wohi hota hai

main jo ghar banata hoon wo tut jata hai
reit ke dher ka lahar mein mail hota hai

har baar banaata hoon deewar aur unchi
ufaan jab aata hai sab barbaad hota hai

yun to jhulati hai kashti samandar mein
ek baar doob jaye to naam reh jata hai

kya pata kya bacha hai is sahil pe mera
jo chutt jaye wo manzar nahin milta hai

aaj bhi khada hai Kapil usi jagah par
yaad na sahi lahar se sparsh to milta hai

Tuesday, August 21, 2012

jo tu ek baar

jo tu ek baar mujhe kuch kehta, to janata main kya-kya kar deta.
agar ek baar bhi dekh leta, to main jafa ke badale bhi wafa deta

tasveer to teri gayi nahin, ek bhi din yun dur nazaroon se
jo kabhi tu tasveer se nikalta, to main har canvaas rang deta

dekh raha hoon aaj bhi main apne dil mein teri usi tasveer ko
jo tu khud dil mein rehta to main yeh dil-e-jahan badal deta

aaj tang bahut hai yeh makaan mera kissi ke bhi rehne ke liye
teri ik ahaat hoti to is makaan se churai nishaniyan mita deta

jo na muda tha ab tak to na mud ab bhi tu mujhse dur jaate hue
us nazar ka asar aisa hota ki Kapil jaan kadamon mein rakh deta

din bhar chirag jalaya

din bhar chirag jalaya teri yaad mein
aur yeh raat guzari tere hi khwab mein

kabse sawaan sanjoya tha aakhoon mein
aur tu phir bhi chodd gaya barsaat mein

raat to andhere mein guzar jayegi yunhi
din bhar phir jaloonga us chiraga mein

bahut tanha guzarta hai har ek din dekh
main to aaj bhi pyaasa hoon barsaat mein

maine kabhi raat ki shikayat to ki nahin
ke raat guzar jati saath tere khwab mein

ek aur din dekho aaj woh bhi guzar gaya
aur main jalta raha waise hi intezar mein

kaise pukaroon tujhko tu hi aake bata
ki chiraag syaah hue jal kar gali mein

kuch nahin bacha ab mere paas jalane ko
ki kabse jigar jal raha hai inteezar mein

ab na aaiyo tu mere samane phir se waise
Kapil jeena seekh gaya bewajah jahan mein

Sunday, August 19, 2012

main to kabhi udda nahin

aaj badal kuch ghana nahin
boondon se sama sana nahin
aur yeh asmaan khali nahin
main to kabhi udda nahin

girti haroz bundein nahin
aati roz andhiyan nahin
phir kyon main kuda nahin
main to kabhi udda nahin

zindagani aur armaan nahin
tere sirhane beitha nahin
khwab koi aur dekha nahin
main to kabhi udda nahin

dil ko kabhi chodda nahin
manzil unchi dekhi nahin
hawa ki lehar thami nahin
main to kabhi udda nahin

kabhi asmaan dekha nahin
udna kya mujhe pata nahin
ye pankh mere paas nahin
main to kabhi udda nahin

raat ne dekho

raat ne dekho kya saja rakha hai
tanhai ka ek aur alam chupa rakha hai

hum to bekaar hi yun aas karte rahe
jab apni taqdeer mein kuch aur likha hai,
raat ne...

main to ab har raat sahem jaata hoon
kya pata raat paas kitana saath bacha hai
raat ne...

koi aaya nahin saath nibhane raat bhar
dekhein khwab mein kiska saath milta hai,
raat ne...

ek arzoo thi samandar paane ki apni
jaane samandar ne kitana dard chupa rakha hai
raat ne...

dekh raha hoon sahil pe khade hokar
maujaun ne yahan kitana aur ufaan daba hai
raat ne...

nahin milta sukoon mujhe is tarah
bata samandar badbaan kahan chupa rakha hai
raat ne...

raat ne dekho kya saja rakha hai
tanhai ka ek aur alam chupa rakha hai

Thursday, August 16, 2012

dur se aayein

dur se aayein hain hum milne unse
par kuch khafa hain ye alfaaz unse

kambhakht attak se jaate hain ye
samana hota hai jab bhi mera unse

kya hota hai laboon ko kya janoon
bandh jaate hain jake paas ye unke

bas arzoo itani si hai aaj apni
bayan karna hai afsaana apna unse

aaj na miljayein woh kisi mod yun
nazar kehdegi woh sab baat aaj unse

aayi nazdik nazar jab bhi apni ye
bas char kadam ka fansala raha unse

na rok mujhe aye dil aaj kehne de
nahin suna aisa malaal na hoga unse

samane hain woh Kapil aaj khud hi
aur kab batayega tu haal-e-dil unse


Tuesday, August 14, 2012

zindagi shidat se

zindagi shidat se main to yun jeeta gaya,
kab din guzara, raat hui, kuch pata na chala

phir kyon dekhta hai zamana mujhe is tarah
ki jaise waqt guzarne ka mujhe pata na chala

do lamhoon mein paar kiya barsoon ka safar
kab ek aur baras guzar gaya pata na chala

main to tanha hi chal raha hoon aye zindagi
kab log mile, ye kafila bana, pata na chala

aaj bhi sochta hoon ki kapil tanha hi hoon
par is hujoom mein to khud ka pata na chala

Sunday, August 12, 2012

vekh ik vari (Punjabi)

vekh ik vari ke sab mudd gaye
ik te kai du dihadi vich gaye

tu na ja munh mod hun o Sanyi
ke jindadi de din luk gaye

main tan buhe khalo ke thaki
te aaj musafir sab lang gaye

main bas ankhiyaan sanjoyiyan
te mendi ankhaan tarasde gaye

tu das kithe hun main aawaan
ki kale bathere din lang gaye

na labya mainu tere koi pata
ki asaan ja khu te beh gaye

aasaan jodoon tera bhes vataya
tusi sanu uthe hi labb gaye

O Sanyi tussi sanu nahin dasya
ki tussi sade dil vass gaye

vekh ik vari ke sab mudd gaye
ik te kai du dihadi vich gaye

Friday, August 10, 2012

Koyala dhu-dhun ke

koyala dhun dhun ke jalta hai
jaise unki yaad mein dil sulagta hai

gili lakadi se jala tandoor hai
bahut dhunein ke saath woh balta hai

na bane us par kaath ki roti
woh fir kis liye aaj yahan jalata hai

kaun jaane is aag ka hashr
woh bekaar hi lakadiyaan khata hai

mila sulagta ek koyla aur bola
ki bata dariya kyon behta rehta hai

fidrat hai uski har pal behna
is liye woh sada chalta rehta hai

dekh woh samandar kya jaane
befikr ho yun behna kya hota hai

aag se dare parinde kya jana
parwana shama mein kyon jalta hai

aaj bhi jalti aag jigar mein
aur is mein mera dil sulagta hai

dekh uski fidrat hai jaane
is liye woh dur badta rehta hai

na ho udaas kapil tu yahan
duniya hai aana jaana laga rehta hai

Thursday, August 9, 2012

woh mera afsaana bana

woh mera afsaana bana mujhe chodd gaya
gumnaam ke beshumar naam karke chodd gaya

bahut kuch tha paas usse milne se pehle
aur woh milke mujhe kangaal chodd gaya

thi zindagi kabhi saath uske aisi haseen
fir kyon woh dasht mein tanha chodd gaya

pyaas bahut thi mujhko par itani nahin
ki woh beech samandar pyaasa chodd gaya

aaj kuch bachi si umeed bhi jaati rahi
ki aaj mere saamane woh ghar chodd gaya

tasveer basi Kapil is dil mein bas uski
aur woh ek baar mein sheesha todd gaya

aaj cheen_kar

aaj cheenkar meri neend mujhse
mangta hai wo kyon mera sukoon mujhse

shahar aaya hai banke tamashai
dekhne kaise cheenta hai wo hosh mujhse

main behosh to abhi tak tha yun
ki raha shahar-e-tamamm bekhabar mujhse

dekha jo parda nashin ko ek baar
aaj kar behis le gaya dhandkan mujhse

na rahi sansein bhi ab apni
tab aaya hai woh yahan milne mujhse

dene kandha Kapil Shahar umda
jaise mila ho koi naya tamasha mujhse

mere paas aaj

mere paas aaj kuch bhi na bacha
main zinda raha par koi aasara na bacha

haath badaye khada hoon aaj bhi
magar aaj haath thamane wala koi na bacha

tadap raha hoon ab jism se ruhh tak
saath rehne ko apne kahin koi zarra na bacha

beh gaya tha sab kuch is riste dil se
aaj dekh kahin koi khoon ka quatra na bacha

main uthaoon kaise khud ko naumeedi se
tere shaher mein Kapil koi sahara na bacha

chand lamhein hain baache aaj mere paas
aise zakhm liye itne waqt mein koi na bacha

na kar koshish phir mujhe bulane ki
kehne sunane ke liye paas ab kuch na bacha

Sunday, August 5, 2012

meri kahani

meri kahani ko woh aaj yun suna gaya mujhko
main dekhta raha aur woh tamasha bana gaya mujhko

khabar hi na hui ki yahan kab bazaar saj gaye
aaj sarre baazar mein bhi woh rula gaya mujhko

ye adayagi thi uski ki pata bhi nahin chala
shahar ke kuche-kuche mein mashoor kar gaya mujhko

main wahan rokta kaise uski kahi bandish ko
apne andaaz-e-bayaan se apna kayal bana gaya mujhko

moonh chupaye firta tha Kapil gali-dar-gali
apna rukh dikha aaj woh laajwab kar gaya mujhko

nahin aur himmat mujhe us_se kuch kehne ki
parda nasheen, be_parda ho tadapta chod gaya mujhko

kashish ankhoon ki

kashish ankhoon ki rahi
woh nahin to yaad sahi
chand batoon ki razdaar
chaand nahin chandani sahi

ek khata ankhoon ki rahi
chupaya palkoon mein sahi
par woh khata to khata rahi
yeh unki zara-nawazish sahi

kuch kadam ki duri rahi
dekhte fansaloon se sahi
aaj unki yeh inayaat rahi
ho ankhoon ka sukoon sahi

kuch to unse baat hui
aaj ankhoon mein hi sahi
kuch apni aur unki suni
haal-e-bayan baaki sahi

kabhi humein ye dil

kabhi humein ye dil hi nahin milta
jab dil saath tab waqt nahin milta
ya rab, kitana bhi karo jatan magar
kissiko mukamal jahana nahin milta

kuch hasratein hain har dil mein
par harek ko apna makaam nahin milta
chahe mil jaye dhai ghaz zameen par
kabhi sabko yeh asmaan nahin milta

chand dard aaj bhi dabbe aye dil
par har dard ko marham nahin milta
bewajah kar_ra raha hoon main aaj
zamanne se koi aitbaar nahin milta

kaisi zara-nawazish hai zamanne ki
mujhe to dil milke bhi nahin milta
ya rab kash diya hota dil unhe bhi
tab kahin dil ke badale dil milta

Saturday, August 4, 2012

kuch unke ahsaas ka

kuch unke ahsaas ka brahm raha,
kuch apne hone ka yakin
kya kehta main aur is par
ke zindagi meri hai yahin

kab din chada, kab gaya
mujhe kuch maloom nahin
aaj unke is aghosh mein
sansein kya maloom nahin

kuch lamhoon ki fariyad
aaj puri hongi yahin
kuch umeed ki khwashein
hoga aaj unpe yakin

dekh halat woh muskuraye
jaise unhe maloom nahin
yehi bas meri zindagi hai
iske siwa kuch maloom nahin

Thursday, August 2, 2012

kahin dil unki umeed mein

kahin dil unki umeed mein khota hai
aur kahin koi behlaata khilona deta hai
na ho darkaar un khilono se tab bhi
ye zamaana tootane ka malaam karta hai

na bacha kissi ka koi khilona aaj tak
to kyon woh mitti pe bawal karta hai
dekho to ye bas ek miti ka putala hai
dafn hota hai kahin, kahin jalta hai

dabi mitti kitni yahan kisse maloom
bewajah zindagi ka hisaab rakhta hai
yahan kuch na tha aane pe saath apne
to kyon saath chalne ki duhai deta hai

shayad ye saath apna tha bas do ghadi
tu kyon char ghadi ka maatam karta hai
utth dekh jahan mein putale hain kitane
aur tu ek ke guzar jaane ka bojh dhota hai

dekh roz uthate janaze sajti hai arthi
par tu to barsoon se mayus beitha hai
Kuch khabar nahin ki kab chalenge hum
fir Kapil kyon tanta laga rakha hai

Wednesday, August 1, 2012

aaj zindagi mein malal kyon hai

aaj zindagi mein malal kyon hai
kuch lamhoon ka udhaar kyon hai
main zinda hoon aaj bhi tee liye
bata phir fansala itna kyon hai

baat hui thi ankhoon mein kabhi
un ankhoon ko inteezar kyon hai
chupa kuch tha nahin beech apne
to bheege lab par sawal kyon hai

rishte ki us saaf si salaet par
aaj ek anjaana sa sawal kyon hai
char kadam saath chalne se bhi
bata unka ab yeh inkaar kyon hai

khatam ho gaya shayad sab kuch
to dikhaave ka libaas kyon hai
ajnaabi hain jab phir hum dono
phir unka yeh saath kyon hai

makaan to apna kabse ek hi hai
phir dillon mein daraar kyon hai
ek hi chaadar par leat kar bhi
woh bin kahi si deewar kyon hai

aaj zindagi mein malal kyon hai

tere hone ka kaise sila mila

tere hone ka kaise sila mila, bas dard mila saher na mila
ufaan uthaati rahi khwahishyein yun hi par kinara na mila

dard judai ka chalak aaya aur nam ankhoon ko sukoon na mila
dil to yunhi sisak raha barsoon, fir bhi do pal ka chain na mila

justajoo nahin koi khata, par mujhe saza ke siwa kuch na mila
shahar-e-wafa ne chodd diya aur fir kahin aasra bhi na mila

meri dash-e-sahera se dushmani nahin par phir bhi dasht hi mila
main koi awaara nahin jo yun firta par manzil ka pata na mila

kya bacha tha aur umeed karne ko ki na_umeed ka daman mila
bata dil kya karoon tere bina ki kahin aur dil ko karar na mila