Wednesday, August 22, 2012

aaj dekhta hoon sahil pe

aaj dekhta hoon sahil pe, yakin hota hai
jitana qareeb aao woh utna dur hota hai

koshish kam nahin hoti samandar ki magar
har ek lahar ka anjaam to wohi hota hai

main jo ghar banata hoon wo tut jata hai
reit ke dher ka lahar mein mail hota hai

har baar banaata hoon deewar aur unchi
ufaan jab aata hai sab barbaad hota hai

yun to jhulati hai kashti samandar mein
ek baar doob jaye to naam reh jata hai

kya pata kya bacha hai is sahil pe mera
jo chutt jaye wo manzar nahin milta hai

aaj bhi khada hai Kapil usi jagah par
yaad na sahi lahar se sparsh to milta hai

No comments:

Post a Comment