Tuesday, August 14, 2012

zindagi shidat se

zindagi shidat se main to yun jeeta gaya,
kab din guzara, raat hui, kuch pata na chala

phir kyon dekhta hai zamana mujhe is tarah
ki jaise waqt guzarne ka mujhe pata na chala

do lamhoon mein paar kiya barsoon ka safar
kab ek aur baras guzar gaya pata na chala

main to tanha hi chal raha hoon aye zindagi
kab log mile, ye kafila bana, pata na chala

aaj bhi sochta hoon ki kapil tanha hi hoon
par is hujoom mein to khud ka pata na chala

No comments:

Post a Comment