Thursday, August 9, 2012

mere paas aaj

mere paas aaj kuch bhi na bacha
main zinda raha par koi aasara na bacha

haath badaye khada hoon aaj bhi
magar aaj haath thamane wala koi na bacha

tadap raha hoon ab jism se ruhh tak
saath rehne ko apne kahin koi zarra na bacha

beh gaya tha sab kuch is riste dil se
aaj dekh kahin koi khoon ka quatra na bacha

main uthaoon kaise khud ko naumeedi se
tere shaher mein Kapil koi sahara na bacha

chand lamhein hain baache aaj mere paas
aise zakhm liye itne waqt mein koi na bacha

na kar koshish phir mujhe bulane ki
kehne sunane ke liye paas ab kuch na bacha

No comments:

Post a Comment