Thursday, August 2, 2012

kahin dil unki umeed mein

kahin dil unki umeed mein khota hai
aur kahin koi behlaata khilona deta hai
na ho darkaar un khilono se tab bhi
ye zamaana tootane ka malaam karta hai

na bacha kissi ka koi khilona aaj tak
to kyon woh mitti pe bawal karta hai
dekho to ye bas ek miti ka putala hai
dafn hota hai kahin, kahin jalta hai

dabi mitti kitni yahan kisse maloom
bewajah zindagi ka hisaab rakhta hai
yahan kuch na tha aane pe saath apne
to kyon saath chalne ki duhai deta hai

shayad ye saath apna tha bas do ghadi
tu kyon char ghadi ka maatam karta hai
utth dekh jahan mein putale hain kitane
aur tu ek ke guzar jaane ka bojh dhota hai

dekh roz uthate janaze sajti hai arthi
par tu to barsoon se mayus beitha hai
Kuch khabar nahin ki kab chalenge hum
fir Kapil kyon tanta laga rakha hai

No comments:

Post a Comment