yeh phir kiski yaad aayi
hai kyon aankh ye bhar aayi
dhoonta tha main kabhi jisse
samane wohi surat nazar aayi
hai tasveer dil mein kiski
yeh phir kiski yaad aayi
kuch khwab jo mil na saake
unmein phir wohi raat aayi
chehra unka kuch dhundla sa
batao phir kiski yaad aayi
kuch saheje the lamhein unke
un lamhoon mein phir jaan aayi
unki mahek aayi, mahek gayi
yeh phir kiski yaad aayi
chehroon ki is bheed mein
wohi surat kyon nazar aayi
hai kaisa yeh vaham mera
dekho phir kiski yaad aayi
kuch umr ke fansale rahe
kuch mausam ne li angdai
bin baadal ki barsaat mein
yeh phir kiski yaad aayi
baat ki thi unse ek humne
aaj usi baat ki goonj aayi
na woh aaye, na unka sandes
yeh phir kiski yaad aayi
tamam raat hum beithe rahe
par kuch bhi khabar na aayi
jagate ho Kapil raat-raat
batao phir kiski yaad aayi
Monday, April 15, 2013
phir kiski yaad aayi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment