Saturday, October 22, 2011

Maajhi par

is paar main hoon, us paar tum ho
aur beech mein vishal maajhi hai
aaj jaana hai us paar mujhe to
par na koi puliya na kashti hai

har din aate dono, is paar us paar
woh door dekh kar laut jata hai
na koi malha, na hi hai unka pata
un tak koi sandesh nahin jata hai

chilla chilla main thak gaya hoon
par maajhi kal-kal sab dabata hai
bato kaise bhejoon sandes ab unko
bin paate koi khat nahin jata hai

aye hawa leja aaj tu sandesh mera
baas akhiri tu hi mera sahara hai
tu kyo behti nadiya ke sath-sath
jaise samandar ne tujhe pukara hai

arre koi bulao kissi malhar ko to
ab is ke siwa paas na koi chara hai
na mile malha to kachi ghadi le aao
us ghade ne jitani nadi dubara hai

ghade se na aa saka wapas to kya
wahan ussi zindagi ka sahara hai
dekh ke hum jise ab tak jeete the
wahan woh nazaara bas humara hai

No comments:

Post a Comment