jis jagah kal the hum,
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
kuch na badalega yahan
rahege, jaise rahe hain
tujhko chahate rahenge
jitana chahe door jaye
aaj karke mohabbat
tujhse vafa vade hain
dilagi phir na kargenge
chahe khuda bhi aaye
tere naino mein hum
sanam doob gaye hain
har bar doobenge in mein
jitni baar jaan hi jaye
tere inhi khwaboon mein
hum ab jeete rahe hain
inke sahare jee lenge
chahe naya khwab na aaye
jis jagah kal the hum,
wahin aaj khade hain
teri marzi hai sanam
tu yahan aye na aaye
No comments:
Post a Comment