ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
har pal pukarta yeh suhana jahan
kidhar khoya hai woh mera samaan
aaj dhuna dhuna hai neela asmaan
le aao doston aaj aapna karvan
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
hai umeed mujhe phir hasne ki
chaah ab zindagi se milane ki
kuch khati meethi si yadoon ki
le aao hawa aaj nayi baharon ki
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj humein nayi rangat mil jaye
aur geet suhane maajhi sunaye
samandar se nikal kar moti laye
le aao khushiyan jo saath nibhaye
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
aaj dil ki bas tamanna yehi hai
wohi manzil phir jhoom uthi hai
raah mei kaliyan khil rahi hai
le aao zindagi ke subha hui hai
ab aapni ankhoon ke woh khwab chupana aur nahin
in darwajon mein ghut ghut ke jeena aur nahin
No comments:
Post a Comment