is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
suna hai roz jalte hai makaan yahan
aaj aapne is aashiyane ko jalte dekha
garaz thi to khud aate the chalke woh
aaj unko bhi humse mooh modte dekha
kabhi milte the jo humse khul ke gale
aaj un sab ko haath khanjar liye dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
jahan milta tha ruh-e-sukoon sabko
aaj us jagah laashon ko girte dekha
chalaie thi kayi nav~ humne jis mein
humnein us jheel ko ab marte dekha
ubalta tha jo khoon uske ishare par
uske jaane par bhi khoon safeed dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
zakhm leker kheechi taqdeer ko bhi
eka-ek hi haathoon se mitate dekha
aapne armanoon se saji har ek sej ko
humnein kabhi-na-kabhi dafn hote dekha
ab yahaan bacha na tera koi brham
humnein jo teri haqqiqat ka aina dekha
is duiyan mein humnein aye khuda kya kya na dekha
qayamat na sahi, par aapna tamasha-e-tamaam dekha
No comments:
Post a Comment