Saturday, April 7, 2012

aaj gira hoon

aaj gira hoon main tut kar us aasmaan se
barbaad hua hoon kissi shaukh ke andaaz se

mila tha us_se ek roz main bade shaunk se
be_abru hokar nikala gaya aaj uske kuche se

ahsaas uska aaj bhi mehsoos ho raha hai
ek baar kabhi woh laga tha mere seene se

kaise sunata main dil-e-barbaad ka kissa
laboon ko siya tha usne kabhi ek boose se

bhool jaaon main kaise usse koi batlao
maine to jeena seekha hai usi haseen se

No comments:

Post a Comment