Saturday, April 28, 2012

ek aashiyaan

kya naseeb likhwa ke laye the, ke bhatakte reh gaye
ek aashiyaan banaya tha, use hum taraste reh gaye

har baras aata hoon dekhne, yahan basne ka sooch ke
bache hain veerane, ki ghar ke pathar bhi bikhar gaye

jod jaata hoon kissi tarah in patharoon ko har baar
par lagta hi jate hi sab mujhse aur dur ho gaye

yun hi har din badati hai duri in patharoon se meri
har baar pata hoon, ki kuch pathar pathar na rahe

kabhi ek umeed si thi, ki hum bhi reh payenge ismein
jaane kab uski umr huyi aur wahan khandar reh gaye

dhoondta hai Kapil ab in khadooron mein phir kisko
lut gaya sab, bas toote khwaboon ke pulinde reh gaye

No comments:

Post a Comment