Wednesday, April 11, 2012

shor bahut hai

khudkushi kaun khud ki khushi se karta hai
kamzarf zamaana hai, aapne gham ko meri khushi kehta hai

mera na kuch karke yeh barbaad karta hai
main kuch karoon to, meri nakaam koshishon pe hansta hai

bhaagna chahoon to bhi bhaag nahin sakta
main zamaana hoon, bhagana mujhe khud se hi juda karta hai

yeh kasoor tera hai main ab kis_se kahoon
deewarein sunati hain, aur mera kehna mujhe barbaad karta hai

tere darmiyan chup koi rahe to rahe kaise
shor bahut hai, is mein chup rehna mujhe na_gawaar lagta hai

No comments:

Post a Comment