Wednesday, April 4, 2012

main intezaar mein

main intezaar mein tha par tu na aaya
dil zakhmi tha par ismein lahoo na aaya

zakhm to risse bina bhi dard dete hain
Kyon kehte ho, lahoo bina dard na aaya

dard tanhai mein nahin kaise samjhaon
jab-jab maine dil lagaya dard saath aaya

dil lagaya tha dillagi ke hi liye tumse
alam ab yeh, bas tumhara hi khayal aaya

main khud ko ab kaise rokun is khayal se
mujhe to har lamha bas tera khayal aaya

No comments:

Post a Comment