Wednesday, April 11, 2012

dard mein bhi

dard mein bhi woh sukun ki baat karte hain
woh to mar_kar bhi jeene ka dum bharte hain

hum to dum bharte rahe unka yunhi har dum
aur woh un lamhoon ko bhulaane ko kehte hain

kaise bhool jayein hum unke diya rang sabhi
unhi rangoon se abhi bhi khud ko rangte hain

aaj bhi rangat koi dekhoon to nahin bhaati
unke aage to sab rang bhi pheeke lagte hain

aaj juda hain rang is mausam se bhi kahin
aur mausam unhi se rang ki guhaar karte hain

guhaar humnein bhi ki kabhi kuch lamhoon ki
par woh na milkar bas waqt ki duhai dete hain

Kapil waqt tab bhi tham gaya tha aur aaj bhi
tab niharte the aur aaj hum dhoondte hain

No comments:

Post a Comment