Saturday, February 11, 2012

jo dil na hota

jeene ka aapne koi to sahara hota
jadojahad mein kahin to sukoon hota
tadap raha hoon kabse liye dard kai
jo dil na hota to yeh dard na hota

kya karoon ab is kambhakht dil ka
do pal ka to ismein kahin chain hota
zaalim dil dhadakta bas unke liye
woh na hota to dil na dhadakta hota

hai ajab shaksiyat bhi unki ya rab
hasti mein unki kuch to mamooli hota
hai har ek naksh unka bedaag dekho
gar koi daag hota, woh woh na hota

hain daag kahan nahin jahan bata
dokha dekho bus nazaroon ka hota
rooz takta zamaana daag-e-chand ko
jo daag na hota woh chand na hota

aaj poochonga issi chand se main
bata uska dil hota to kaisa hota
chandani to hai hamesha uske saath
woh tanha rehta to mashoor na hota

mashoori bahut milti hai unke saath
yeh tanha dil aur unka veerana hota
har saath se milla hai dard dil ko
jo yeh dil na hota to dard na hota

No comments:

Post a Comment