Sunday, February 19, 2012

Kahin

ab nazar unse milti hai kahin
ye dhadkan baddati hai kahin
tasavur kar ke unka, ya rab
gOOm hai dil ka chain kahin

tha andhera jab ghar pe mere
tab bhi saher hoti thi kahin
intihaan-e-intezar tha mujhe
tab bhi dil milte tha kahin

aaj pukaarte hain mujhe woh
kuch aur ab sunai deta nahin
woh na pukare mujhe tab bhi
unki awaaz hi hoti har kahin

sirf awazoon ka hota bayaan
lagta kaanon pe illzaam yahin
par kya karoon mein khud ka
unki tasveer dikhati har kahin

sun_ne dikh_ne pe to jee lete
par unka ahsaas bhi hai yahin
kiya band andhere kamare mein
par unki roshni hai har kahin

yeh faqat aaj ka aalam nahin
kuch aur mujhe dikhta nahin
koi pooche to jaa ke unse ab
unka kya bigaada maine kahin

No comments:

Post a Comment