aapne dard ka tujh_se bayaan karoon kaise
is haqiqat ko kissi_ka fasaana karoon kaise
tu dil ban_kar bhi dil mein na reh saka dilbar
ab kissi aur ko is dil ka mehmaan banaoon kaise
kya bataoon main chaah kar bhi tanha na ho saka
bataa to sahi teri yaad ko dil se mitaoon kaise
teri haasti ka asar hai shayad yahan zamaane ko
tu hi bata is zamaane ko main ab samjhaoon kaise
barbaad hua main kabse tere peeche chalte chalte
koi samjhaye is diwanagi se khud_ko bachaoon kaise
sulag rahii hai teri aag kab se jigar mein mere
kuch suraag to ho ki iss_pe main bujhaoon kaise
sukoon detein hain dost par bas ranj dosti teri
ya rab bata is ranj ke nishaan ko mitaoon kaise

No comments:
Post a Comment