Wednesday, January 4, 2012

jab na tha

jab na tha tu, to main kuch na tha
aaj hai tu, to bhi main kuch nahin
mujh gumnaam ko yahan kya haasil
jo tera naam hai to anjaan koi nahin

phirta hoon anjaan galiyon se main
milta in veeranoon mein koi nahin
naam hi baas jab le leta hoon tera
phir veerne yahan kahin bhi nahin

kahan dhoondoon aapne veeranoon ko
hai tere nazdeek jagah kahin nahin
sochta hun purani basti chala jaon
par basti mein janata ab koi nahin

bhul chuki yeh basti kab ki mujhe
is basti ka ab main bashina nahin
bhulon kaise main yeh basti aapni
is basti ke begair mera koi nahin

nikala hoon pehchani si galiyon se
mere aapne to yahan par ab koi nahin
naam yahan bhi le leta hoon jo kabhi
paraaya phir to koi gair bhi nahin

aata hoon phir laut ke tujhse milne
chaukhat pe santari ab janata nahin
bandh hain yahan sab darwaaze dekho
in makaanon se tu ab nikalta nahin

bahut chad gayi hain deewarein iski
deewaroon pe se main jhankta nahin
hain aati awazeen bhaar sheeshe ki
andar ki deewarein aise girti nahin

jaane bache kitane sheeshe ab wahan
pathar to kabhi maine phenka nahin
dua karta hoon khairiyat ki unki
aise tukdoon mein woh jeeta nahin

aayi hai khabar aaj unki to ya rab
khairayaat pe jaane ka gila nahin
salaam karta hoon is aur se usko
suna dekha usne shayad kuch nahin

No comments:

Post a Comment