Wednesday, January 18, 2012

mere paas sawaal kuch hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

hai aapne darmiyaan kaun
ki aaj bhi duriyaan hain
hum dono yeh chahte hain
phir bhi yeh tanhaiyan hain

hum chale the saath mil kar
par kinaroon ki duriyan hain
kabhi ho sake to tum dekho
majhdhar mein kashtiyan hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

loog humein kehte deewana
yeh loogon ki bastiyan hain
yahan mohobaat karna jurm
aur baandhati riwayatein hain

main kehta hoon tum sun lo
toadani kabhi to rasmein hain
aaj chalo saath mere tum
nibhani humein kasmein hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

kuch hai to tum aaj kehdo
hum aawaaz ko taraste hain
jo tum nahin hote to mere
sanate bhi goonjate hain

aaj chalo saath do kadam
beech itne hi fasale hain
ab mujhein tham lo tum
bahaein failaye khade hain

mere paas sawaal kuch hain
par jawaab ki majbooriyan hain
jo kuch karte hum vahan pe
to zamaane ki ungaliyan hain

No comments:

Post a Comment