Monday, January 9, 2012

kuch to ajaab hai

kuch to ajaab hai shaksiyaat mein uski
zehan mein reh jaati kambhakt yaad uski
karoon kya ilaj main is lachaar dil ka
har jagah hi dikhti hai isko surat uski

dikha chuka hun isse hakim rukman ko
phir bhi nahin jaati yeh beemari iski
dikha chuka hun sab nazare zameen ke
par inse nahin ab banaati tabiyat iski

jawaan dil hai aur kya samajhaun isko
bekaar hai yun karna roz intezaar uski
kyon jalaa raha hai khud ko aag mein
dur tak nazar nahin aati parchaii uski

kab tak yun liye beithega us parchai ko
yaad aati hai mujhe woh zindadili iski
jab se laga hai iske dil pe marz uska
shaksiyat badal gayi hai mere dost iski

pareshan hun marz pata hai illaj nahin
kaise jaaye basi is makaan se yaad uski
koi nahin janata kaunsi buti ilaj iska
shayad abhi bani hi nahin hai dawa iski

No comments:

Post a Comment