Friday, January 13, 2012

doobtaa jaata hoon

doobtaa jaata hoon samandar mein, ki kahin koi pakadne nahin aata
hun beparwah kab se teri ankhoon mein, wahan dhoondaney koi nahin aata

hai samandar yeh haseen kitna, main koi aur sahara nahin chahataa
paar karta tha jo kabhi taeir kar har samandar, usse ab taeirna nahin aata

beshumaar hain tere khwaab yahan, ki khawboon ka tasavur to kar loon
na poocho koi mujhse inki kahani, aise khwaboon ko bayaan karna nahin aata

darta tha dil kabhi marne se, woh beech samandar nikalna nahin chahataa
dil-i-tamanna hai izhar ki, par dil-e-barbaad ko izhaar karna nahin aata

Kapil quatl kar rahi aankhein uski, un nazaroon ko kuch aur nahin aata
hai teer-e-nazar paar dil ke, yun quatl ho kar mujhe jeena nahin aata

No comments:

Post a Comment