Tuesday, January 3, 2012

kyon hai mujhse

kyon hai mujhse woh kafa yun
ki arzoon ka kuch pata nahin
milta tha jo kabhi dil bankar
us dil ka kissiko pata nahin

hai pata milla mujhe to aaj
par us pate woh milae nahin
likhee hain kai arziyan use
par kissi arzi ka jawab nahin

kahan dhoondoon unko aye dost
unke makaan ka thikana nahin
hai yeh dil deewana sa to mera
yeh kissi aur pe rukta nahin

ab ek dil hai aur ek woh hain
dono yun kahin tikate hi nahin
pakadoon haath main kaise unka
aise kabhi kafile chalte nahin

yeh kafile aage badate gaye
aur humne unhe pukara nahin
bas ankhoon ki ek jhalak mili
aur lab se koi ek awaaz nahin

na rok unko ki woh dil nahin
mere jeena ki koi doar nahin
aaj ravaan hai kuch khwaab to
aur baachi meri koi aas nahin

tooti aas ka kya kahiye unko
unke siwa mera ab koi nahin
rukne ka na hai jasba unko
mere jasboon ka koi rab nahin

rab pe ikhtiyar karta kaise
rab to kissi ek ka hua nahin
jab tak dil tha woh mera tha
rab ban ke woh sirf mera nahin

No comments:

Post a Comment