Sunday, December 23, 2012

...na dekh (a take on what happened today)

hai awaaz aayi kis ki, kis jagah se na dekh
yeh shahar-e-barbaad hai, tu isse na dekh

bahut jee liya tune ab dar bahar jaane se
yahan haivaan hi baste hain, yahan na dekh

hai gungoon ki basti, chupi kahin andar
bahar lathiyoon ki barssat hai, na dekh

main khada hoon hairaan pareshaan magar,
butt banne_wale pathar hain, unhe na dekh

hai umeed kaisi hasrat-e-butt-e-nakashi se
yeh apne guroor mein hain, us aur na dekh

unchi deewarein hain, aur unche darwaaze
band khidki se cheekh nahin sunte, na dekh

kyon fainkta hai pathar tu, us aur bata
sheeshe sab lathi se ghirre hain, na dekh

woh kya jaane takleef, tere jeene ka dard
kaise umeed rakhta hai wo sunege, na dekh

jiske liye biche hue hai kaleen roz naye
wo pathar ki sadak pe kya ayenge, na dekh

din beeta raat aayi, aur koi umeed nahin
aaj phir khoon hua, ek beiti gayi, na dekh

yeh teri ki karistani hai, teri hi galti
jise chuna tune wo badal gaya, usko na dekh

No comments:

Post a Comment