Sunday, December 30, 2012

aadmi, doosre aadmi ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

bikhri padi thi izzat kissi mod pe to yun_hi
aur tamashi bana khada tha wahan aadmi, aadmi ke baad

siskiyaan goonj rahi hain har sadak se uski
aur bhagta fir raha hai yahan aadmi doosre aadmi ke baad

jeene ki ek umeed thi jo usse mil na saaki
issi liye shayad sar jhukaye khada aadmi, aadmi ke baad

band sadkoon mein hukumraan chupke beith gaye
are neta kaise chunta hai tujhe aadmi, doosre aadmi ke baad

band ho gayi cheekh-cheekh woh aawaaz to aaj
aur behra ban ke khada raha wahan aadmi, aadmi ke baad

bahut tha guruur use apne aadmi hone pe magar
aaj sharamsaar hua hai woh ek aadmi ki harkaar ke baad

kyon uthata hai dhuan aaj aag bhujne ka baad
woh dekh sar jhukaye khada aadmi, doosre aadmi ke baad

No comments:

Post a Comment