Tuesday, July 3, 2012

jaane kis umeed mein

jaane kis umeed mein na soye raat bhar
be_wajah khwaboon se mehroom rahe raat bhar

shayad sab tham gaya tha chandni ke saath
aur hum bekaar chand ko dhoondate rahe raat bhar

na waqt ka hosh, na waqt ke hone ka yakin
is waqt ke ahsaas se bhi hum dur rahe raat bhar

yeh dil shayad roz ki tarah hi dhadka hoga
par hum gum kissi aur dil ke ahsaas mein raat bhar

shayad mil raha tha dil bin kuch kahe un_se
mere dil ko jaane kyon yehi dhoka raha raat bhar

subha hui to laga yeh subha kyon ho gayi
humnein to ek palak bhi na jhapkai raat bhar

No comments:

Post a Comment