Sunday, July 15, 2012

tham ke chalna

dard dil mein,
inteezar ankhoon mein,
umeed ka daman
tham ke chalna

main pukarta hooon,
dil-e-arzoo ko
tum bas yeh haath
tham ke chalna

kahin hote nahin raste
kabhi milti nahin manzil
par himat bandhaye rakhna

dostoon ke hujoom na sahi
ho dushmanoon ki dewar sahi
par tum tanha hi aage badna

kya kehta hai zamana
kya kehti hai fiza
iski parwa na kar
tum aage kadam rakhna

aaye koi mushkil
sataye koi uljhan
tum umeed ka daman
tham ke chalna

sukoon ankhoon ko milta nahin
karar dil ka kahin rehta nahin
tum dil mein phir bhi umeed rakhna

milenge hum phir
ek din hum bhi
is ashnaa mein yunhi
bas tum kahin na rukna

khata ankhoon ki thi
bayan karti zuban thi
tum us ek pal ko
tham ke chalna

woh char din the
jab bas hum tum the
tum un lamhoon ko
tham ke chalna

No comments:

Post a Comment