Friday, June 15, 2012

shaam hote hi

shaam hote hi tu kyon chiraag bhuja deta hai
tu kyon mujhe sitaroon bharose chodd deta hai
tere siwa kisi aur dar pe sajda to nahin kiya
fir kyon sajde ka silla tu andhere se deta hai

fikr to hui thi andhera dekh ek baar mujhe bhi
par tu kahan bandoon ko akela chodd deta hai
rahmat ka baroosa tha ki main kahin gaya nahin
tu to ufaanon mein bhi naiya paar lagata hai

kya chupa tujhse ki kashti hai badbaan nahin
aur yeh maajhi hai ki yunhi hilore leta hai
tha kuch dar shuru mein mujhko bhi laga lekin
tujhe dekh ke bharosa khud se hi banta hai

tu nahin dikhta jab mujhe to kya kahoom main
us din to zindagi jeena bhi dushwar lagta hai
main kya guhaar karta tere dar par ek deedar ki
tu to Khuda hai, tu bin kahe hi sab samjhta hai

No comments:

Post a Comment