Sunday, June 10, 2012

dhoondta khud ko

dhoondta khud ko hoon, par mujhe rasta pata nahin
kyon hoon bhatakta jab mujhe manzil ka pata nahin

kis aur jaoon, har modd pe hi main sochta bas yehi
har raste pe lagta hai ki rasta to yeh sahi nahin

poochoon kis se safar mein aage ki dagar kahan hai
jab meri manzil ka pata main khud hi janata nahin

ruk gaya hoon phir main dekh ke naya sa modd aage
na bata kis aur jana par ye bata kis aur jana nahin

No comments:

Post a Comment