Wednesday, June 20, 2012

aadmi na jaane aadmi kya chahe

sardi mein suraj ki ass lagaye
suraj nikale badal ko tarasaye
mee~n barse to fir sardi bulaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

kabhi ek saath ko tarasta jaye
saath hokar tanha rehna chahe
manzil par raste ko dekhta jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

paas bulakar woh milne na jaye
inteezaar mein ghadiyaan ginwaye
bin bataye woh to milne ko aaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

kabhi sapnoon mein ghar sajaye
kabhi usi ghar se daudta jaye
sapne jee kar yahan marta jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

paas ho to us_se kaha na jaye
har pal man hi man unhe bulaye
unhe samane dekh woh dar jaye
aadmi na jaane aadmi kya chahe

No comments:

Post a Comment