Friday, June 15, 2012

aaj tumhe pukarta hoon

aaj tumhe pukarta hoon to kuch ajeeb lagta hai
mera woh naam lena, gustakh ka alfaaz lagta hai

woh waqt aur tha jab teri aankhon mein garq hue
aaj tujhe dekhna bhi zamane ko ek khata lagta hai

tu na pooch ab ankhoon se mere is hashr ka sabab
teri ankhoon ke baad mujhe jeena bezaar lagta hai

bata kya main kehta tujhse nikalte hue raste mein
aaj saamane se aankh uthana bhi nagawar lagta hai

dekh wohi main hoon, wohi tu hai par rishta nahin
is rishte ko rishta kehna bhi dushwaar lagta hai

kyon fir bhi tu dekh raha hai meri hi taraf aise
teri har nazar ka teer mere quatl hazar karta hai

No comments:

Post a Comment