Sunday, June 24, 2012

kyon aaye

main roz yunhi marta raha
tum zinda karne kyon aaye,
main to ab tak jee raha tha,
khwab mehkane kyon aaye

batao zindagi mein kyon aaye
arzoon ke sirhane kyon aaye
kuch beeti yaadein dafn thii
tum unhe jagaane kyon aaye

dasht kab ke sab chut gaye
aaj pyaas bhujane kyon aaye
maajhi bhi mere saath nahin
tum kashti saath kyon aaye

us paar jaana nahin mujhko
uski mahek saath kyon aaye
bas sunai deti dhadkan thi
mera kissa sunane kyon aaye

hai saath mere yeh tanhai
tum isse chenane kyon aaye
mere paas bachi bas parchayi
tum us_se churane kyon aaye

din beeta in fariyadoon mein
tum ab raat churane kyon aaye
kuch lamhoon ki to ek aas thi
tum woh aas mitane kyon aaye

ab shaam phir ho chali hai
phir aaj raat tum na aaye
humnein yahin lamhe beetaye
jab-jab milne tum na aaye

No comments:

Post a Comment