Friday, June 1, 2012

jab roya

jab roya koi saath nahin tha
aansoonon ka maul nahin tha
main to yunhi bikharta gaya
ki zindagi ka hasr yehi tha

awaazoon mein dabi awaaz thi
is shor mein gum fariyaad thi
tumne sunkar bhi nahin suna
bas itni si meri dastaan thi

main phir bhi kheench raha tha
dastaan ko aaj se jod raha tha
jahan koi aapna nahin baacha
wahan rishtey dhoond raha tha

kis naam se pukaroon ab tumko
main kya kahoon is rishte ko
in sab ki is kashmakash mein
main dhoond raha tha dil ko

kya kaheta main mayus dil se
jeeti dhadkanoon ki duad se
ke kuch khwahish mat karna ab
main ubb gaya tha in sab se

No comments:

Post a Comment