Wednesday, June 13, 2012

main phir bhi ab nahin rukta

kisi ki awaaz ko nahin sunata
dhoop ya baarish yunhi chalta
manzil mile na mile mujhe aaj
main phir bhi ab nahin rukta

kahan hai woh rasta kya janoon
kaunsi manzil thi kisse maloom
kheenchta mujhe kabse magar
main phir bhi ab nahin rukta

tum pakadoge haath to kya hoga
bichaoge nazarein to kya hoga
hoon manchala main chahe kitna
main phir bhi ab nahin rukta

pukarta mujhe hai dur se koi
dhundhali si hai surat wohi
woh aata meri aur badta yenhi
main phir bhi ab nahin rukta

batao use ki woh manzil nahin
raat ki meri koi sarai nahin
par aaj bhi main awara nahin
main phir bhi ab nahin rukta

No comments:

Post a Comment