Monday, September 3, 2012

boond-boond karke

boond-boond karke, main ashq jod leta hoon
tum jab yaad aate ho, khud mein dhoond leta hoon

khazaana bahut hai, paas yaadoon ka tumhari
tum jab nahin aate, khwaboon mein mil leta hoon

tasavur siva koi aur nishani nahin paas apne
tum jab milte ho, mein ussi nishan ko sahejta hoon

kuch aur sunai nahin deta teri awaaz ke siwa
tum jab pukarte ho, main dauda sa chala aata hoon

kya hai aur is jahan mein mujhe kya maloom
jab saath hote ho, usi pal mein zindagi jee leta hoon

na cheeno mujhse yeh adhani si zindagi meri
main zinda hoon, Kapil bas unke munh se sunta hoon

No comments:

Post a Comment