Saturday, November 10, 2012

kyon hairaan hai

kyon hairaan hai aaj woh dekh kar mujhko
main zinda hoon, tu yeh na bata mujhko

bahut ki koshish maine garq hone ki magar
yeh dariya tha sahil pe chodd gaya mujhko

aag mein bhi gaya tha ek baar jhulasne
aur us ne tapa kar aur sakht kiya mujhko

kuda tha ek baar main us shikhar se bhi
us chalang ne fir udana sikha diya mujhko

kyon bandhta hai tu mujhe fir udane se
aye dost, bata zanzeer ne kya diya mujhko

todd aya tha sab pinjare main wahin par
yahan koi naya sa pinjara na dikha mujhko

main aaj zinda hoon, yeh janata hoon main
bula ke Kapil na koi aur aaina dikha mujhko

No comments:

Post a Comment