Sunday, May 27, 2012

dil liye na liya

dil liye na liya chain to liya hi hai
kaise pukaroon, koi naam diya nahin hai

main awaaz doon bhi tujhe to kis haq se
tune mujhe koi ikhtiyaar diya nahin hai

teri aas mein zindagi kat rahi hai meri
teri umeed se khawboon ko sajaya to hai

hai aatish-e-gul sa jalwa nigah mein
tune kyon aise palkoon ko jhukaya sa hai

un palkoon mein duba hoon kab se main
bata, tune un palkoon ko uthaya kab hai

madhosh main to aaj tak hua nahin tha
tune aankhoon mein bata chupaya kya hai

dekh ek baar mujhe to nazar se poochoon
tune aapni aankhoon se pilaya kya hai

tu bata main ab hosh mein aaon kaise
tujh se badkar jahan mein aur kya hai

duba hua hai Kapil aankhoon mein aise
jahean mein nigahoon se gehra kya hai

No comments:

Post a Comment