Wednesday, May 16, 2012

apne rang se

apne rang se woh rangoon ka bazaar laga dete hain
kharidaar pehle hi kum the, woh aur chura lete hain

dil ki dukandari yahan hum karein to karein kaise
woh jahan hoen wahin kharidaar tanta laga dete hain

dukandaar to is shahar ke sabhi khali ho gaye hain
aur woh hain jo sang dil ko bhi sauda bech dete hain

hum bhi gaye the dekhne is dukandaari ka hunar unka
jaane kyon humein dekh woh dukaan hi bada dete hain

hum inteezar kar rahe the ek raat ka milne ko unse
par raat ke taare unke talabgaar aur bada dete hain

sauda apna agar bechna ho Kapil to kuch seekho unse
woh tumhara sauda tumhein beech kar munafa kamate hain

No comments:

Post a Comment