Saturday, May 5, 2012

bebaas aadmi lagta hai

roz mushkiloon se jujhta hai
kabhi hansta kabhi rota hai
bas jeene ki ek koshish mein
kyon bebaas aadmi lagta hai

char lamhon ki is zindagi mein
do lamhein khudko dhoondta hai
wahan milte hain kai jawaab usko
phir bhi bebaas aadmi lagta hai

khwaboon ki udhed bun mein
kashmaksh jeene ki karta hai
ek khwab jee bhi le tab bhi
kyon bebaas aadmi lagta hai

ab khwahishein hazaar dil mein
roz ladai woh to unki ladta hai
khud jee bhi liya ek din usne
to bhi bebaas aadmi lagta hai

milte use hain log hazaroon
kahan woh dil ki kehta hai
kissi se baat keh kar bhi
kyon bebaas aadmi lagta hai

maine poocha tha kabhi us_se
uski aisi be_baasi ka sabab
woh hans diya poocha mujh_se
adami tu kyon bebaas lagta hai

No comments:

Post a Comment