Sunday, May 6, 2012

tapak raha

tapak raha ashq-e-dil, tujhe rokta yahan koi nahin
tamashii shahar hai, par yahan thaam_ta koi nahin

gum-e-dil ka hashr aisa, rista lahu dikhta nahin
jigar laal na kar sake, woh lahu phir lahu nahin

azma-e-khanjar to aaj khanjar chala mujhpe zalim
har qutra tere naam ka, uske siwa nikala kuch nahin

kuch aur azmana hai, mere quatil azma ke dekh le
mere ghar mein teri yaad siwa baacha kuch nahin

dikhaya ghar tujhe kabhi, woh ghar dikhta nahin
binaa dil-o-gum ke baacha makaan mein kuch nahin

ghar mera to yahin tha, bachee dar-o-deewar nahin
bahut baar jal chuka hoon, ab dil ke karoobar nahin

ahad leke nikala hoon, aur ab ashq-e-dil nahin
samane aake dekhte ho, mera ahad ab mera nahin

imaan dagmata raha, mujhe rokta yahan koi nahin
tamashii shahar hai, yahan thaam_ta tu bhi nahin

No comments:

Post a Comment