Wednesday, May 9, 2012

haseen lagti hain

haseen lagti hain par nahin milti hubaab si
yeh tamnayein ubharti hain man mein hubaab si

kuch thamti hain sataah par yeh bhi hubaab si
aur mit jaati hain ek pal mein yeh hubaab si

yeh to bas musafir hain saath kuch hi pal ki
ek jhoonke se yeh udd jaati kahan usi hubaab si

phool jaati hain ek doosre se milkar yeh kabhi
aur phir ek lahar is khatam hoti hain hubab si

thaamna chahoon to tham nahin sakta inhe kabhi
yeh bas haat aate hi khatam ho jaati hubaab si

No comments:

Post a Comment