haathoon ki lakeeroon se shikyat karta hoon
kyon har zakhm ke liye kissi ko ilzaam deta hoon
main zinda tha jab tak kabhi jeeya hi nahin
kyon apni be_naam maut ke liye naam dhoondta hoon
kabhi koi nayi lakeer bana na saka jab main
to uske liye bhi is talwaar ka naam leta hoon
main chaak jigar liye yunhi tanha beitha raha
aur laal hokar chaaragar ko badnaam karta hoon
koshish maine kabhi dil se kuch ki hi nahin
aur apni nakami ka sahera takdeer ko deta hoon
jisse aaj tak bhi maine kabhi dekha to nahin
us khuda ko aapni khata ka gunegaar kehta hoon
kaise rahta koi saath mere mera dost ban kar
main apni har chott ke liye koi naam dhoondta hoon
agar sambhalna chahe bhi koi gumnasheen mujhko
usi gum nasheen ko apne gum ki wajah kehta hoon
kya kehta main kissi se aye jahan ab is waqt
main hi hansta umr baad main kyon tauba karta hoon
Kapil koi aaina nahin jo dikhata surat meri
main kyon toote aaine mein khud ko dhoodta hoon

No comments:
Post a Comment