Thursday, May 17, 2012

tasveer mein woh

tasveer mein woh chehra nazar aaya
zubaan pe unka kai baar naam aaya
inteezar raha yun qayamat tak unka
aur main tanha hi zindagi jee aaya

bahut aachi kati is tanhai mein
zahan mein unka khayal to aaya
par bahut nazare dikhaye zindagi
aur nazaroon mein din bita aaya

kahin aur hota to kami bhi khalti
main yahan duniya saath hans aaya
kuch hoti hai justajoo unki magar
main yeh arzoo bhi wahin chod aaya

nahin yaad unka chehra aur naam
main khudko bhi shayad bhul aaya
kuch hoon nahin main unke beegair
unke beegair yeh tanhai bhul aaya

tanha hokar bhi saath hai har pal
main kaise unhe saath uthata aaya
anjaane is bhoj se dabe kandhe the
kaise unse main bhoj uthata Aaya

utarna chahoon to utar nahin sakta
ab woh ban gaye hain mera hum saya
jidhar jaaoge Kapil tum is jahan
log poochenge kahan tumhara saya

No comments:

Post a Comment