Sunday, May 6, 2012

mujhe manzil ki talash thi

mujhe manzil ki talash thi
par main raasta bhatak gaya
us sadak ko dhoondte hue
main har mod par bhikhar gaya

tere saath rehna khwab tha,
woh khwab kab ka tut gaya
us dard-e-dil ki talash mein,
main kuch aur bhikhar gaya

dil-e-ashna mein jagah na thi
main fir bhi talashta gaya
ek lamha paane ki chaha mein
main har lamha bhikhar gaya

woh hi mera khu-e-yaar tha
par main usse dur hota gaya
paas aane ki koshishoon mein
main har jagah bhikhar gaya

shor-o-gul kabhi aapna tha
aaj paraye logoon ka ho gaya
aaj unki awaazein dhoondta
main awaaz mein bhikhar gaya

kabhi dasht-e-sahera mera tha
par ab woh dasht hi reh gaya
mujhe fir sahera ki talsh thi
main har saher pe bhikhar gaya

woh hi ilaj-e-dil mera tha
aur aaj dil bhi chala gaya
unke is diloon ke khel mein
main har dhadkan bhikhar gaya

mujhe manzil ki talash thi
par main raasta bhatak gaya
us sadak ko dhoondte hue
main har mod par bhikhar gaya

No comments:

Post a Comment