Friday, May 11, 2012

meri umeed ka

meri umeed ka aaj yeh kaisa sabak mila hai
gum-e-hasti ke siwa mujhe kuch na mila hai

yahan dhoondta main kaise kuch aur shah ab
tune monh pher_ke mujhe beigana kar diya hai

chala aur dur par yeh sadak abhi bhi teri hai
is_ke har ik mod ne kuch aur todd diya hai

sambhaal tukdoon ko thaame nikal raha hoon
ke chutt na jaye koi hisa yehi khayal raha hai

bas chodd chala hoon yahan se judi yadoon ko
ki teri khaak mein in yadoon ko dafan kiya hai

jaate hue mujhse kiss baat ka mehsul mang raha
aye shahar bata tune mujhe aaj tak diya kya hai

No comments:

Post a Comment