Saturday, May 5, 2012

to kya

mere dard par chadd kar ek peigam paya to kya
bewajaah zindagi beet gayi ab woh aaya to kya

bahut chahta tha deedar-e-gul main to aye shaher
bas bahar mein hi mera gulshan khil paaya to kya

kuch ek nazare dekhe the maine zindagi mein yun
bas sahil pe lehar sa woh nazaara aaya to kya

main kabhi chahta tha maujoon se milna aye dil
aur woh hamesha bas chuke hi laut gaya to kya

aanso chupane ke liye guhaar ki badal se barasne ko
woh aasmaan bas sawan mein hi baraas paya to kya

jo aaj phir main nikalta hoon dhoondne khud ko
uspe aaine ne mera chehraa mujhe na dikya to kya

No comments:

Post a Comment