Monday, May 14, 2012

ankhoon ke dard ko

ankhoon ke dard ko, chalakne ka mauka na mila
main zinda raha na raha, mujhe tu na mila

kyon dard deta hai, har shaam bichad ke mujhse
main shyam se mayus raha, tera saath na mila

main talashta raha dagar tere ghar ki jaanib
rasta dushman tha, har mod pe alag ishara mila

kis_se poochoon tere pata, tu hi bata mujhko
is shahar jo bhi shaks mila, tera beemar mila

kahan dhoondoon tujhe yeh koi bata_ta nahin
bahut udda par kisi asmaan mein tu na mila

aaj chaan raha hoon khaak main dard ki yahan
is_se tere butt mile par mujhe tu na mila

main tera butt lekar yeh haal bataoon kisko
gum seene mein, aur sunane ko kaan na mila

gila karta to main dard se gila karta kaise
mujhe har gum mila par tera dard na mila

rokta hoon aaj gum ko aankh se phootne se
aaj bhi mere gum ka kisi ko pata na mila

No comments:

Post a Comment